
Do Shabdo se Bana hai Ek Mandir
Jisme Rahti Hai Meri Maa

Mamta Aanshu Aur Khushi ke
Aaine mein Jhalakti Hai meri maa

Mujhse Ye na Puchcho
Kahan Rahti Hai Meri Maa

Mere Dil ki Geharaiyon Me
Basti Hai Meri Maa
Dhundhali Aankho ki Tasveer Mein Bhi
Jhalakti Hain Meri maa
Jo Shabd Bole bhi na ho
Use kah deti hai Meri maa

Zindagi ke Har Aahsaas Mein
Sabse Pass Rahti Hai meri maa

Mujhe Sabse Jyada Samjhati hai
Meri maa! !

Aankho mein Talash Leti Hai meri Maa

Mere Har marz Ki
Dua Hoti hai Meri Maa

Hatho Me Hath Lekar
Jab Sulati Hai meri Maa

Duniya ki Saari Jannat
Dikhati Hai Meri Maa
Mujhse Ye Na Puchcho
Kahan Rahti hai meri Maa
Mere Dil Ki Geharaiyon Mein
Basti Hai meri Maa
Sabke Aankho Ki Noor Hoti hai 'Maa'
Jisase Naa Rah sake Koi Door Wo hoti hai 'Maa'
Forum : www.MumbaiHangout.net
Our Friends Network: http://social.mumbaihangout.org/home.php
------------------
DISCLAIMER :
------------------
This message serves informational purposes only and should not be viewed as an irrevocable indenture between anyone. If you have erroneously received this message, please delete it immediately and notify the sender at MumbaiHangOut-Owner@yahoogroups.com. The recipient acknowledges that any views expressed in this message are those of the Individual sender and no binding nature of the message shall be implied or assumed unless the sender does so expressly with due authority of The M.H.O. Group. M.H.O. reserves the right to repeal, change, amend, modify, add, or withdraw the contents herein without notice or obligation.
---------------------------------------------------
Note:- MHO is Not Responsible For Any Claims.
---------------------------------------------------